Long distance relationships ... phew !!!
Aaj tu phir bahut yaad aaya hai,
Aaj phir khud ko bahut bechain humne paya hai
Beech humare -
Samundar ki gahrayi aur meelon ka faasla hai,
Ye soch, dil bechain kuch is kadar hua hai
Jazbaaton ka tufaan, ye dil, maano seene me dabaye baitha hai,
Aaj tera khayal kuch is kadar aaya hai
Wo teri naadaniyan, wo tera bholapan,
Wo tera bin wajah muskuraana,
Baat baat par ruth jaana ,
Chidate-chidate khud ro jaana,
Mujhe manane ki wajaye khud ko manwana,
Tere saath bitaye hua wo lamhe,
Sab ek pal me yaad aaya hai,
Aaj tera khayal kuch is tarah aaya hai
Aaj phir tujhe chedne ka dil kiya,
Gudgunane ka dil kiya,
Meelon ka fasla pal bhar me mitane jee kiya,
Bahon me bhar tujhe
So jaane ko dil kiya,
Khud ko tanha-akela,
Aaj phir humne paya hai,
Aaj tera khayal kuch is kadar aaya hai
Aaj message se tasalli na hogi
Aaj phone call se bhi tasalli na hogi,
Ru-ba-ru na hone ki teri kami kuch is tarah bechain kar rahi hai
Jaise mano, jism ko ruh ki kami khal rahi ho
Aaj tera khayal kuch is kadar aaya hai
Zindagi mano teher si gayi ho,
Saans ruki aur,
Jeene ki wajah kho si gayi ho,
Phir kisi tarah aaj humne khud ko samjhaya hai,
Aaj tera khayal kuch is kadar aaya hai,
...aakhen nam aur dil bhar aaya hai !!!

-Mayank
1 comment:
Sahi hai :)
badhiya likhne lage ho.
Post a Comment